Tufan Nazar Mein Hai Na Kinara Nazar Mein Hai

tufan nazar mein hai na kinara nazar mein hai

ek azm-e-mo'atabar ka sahaara nazar mein hai

wo din gae ki tirgi-e-shab ka tha malal

ab jalwa-e-sahar ka nazara nazar mein hai

husn-e-numud-e-subh ka allah re kamal

bahta hua wo nur ka dhaara nazar mein hai

kuchh zauq par garan to na tha husn-e-kaenat

kya kijiye ki husn tumhaara nazar mein hai

dil ko luTe hue to zamana hua magar

ab bhi kisi nazar ka ishaara nazar mein hai

uf DabDabaati aankh se girta hua wo ashk

ab tak wo Dubta hua tara nazar mein hai

wo be-ruKHi se dekhte hain dekhte to hain

'mansha' maqam kuchh to hamara nazar mein hai

(515) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tufan Nazar Mein Hai Na Kinara Nazar Mein Hai In English By Famous Poet Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Tufan Nazar Mein Hai Na Kinara Nazar Mein Hai is written by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Read famous Poem Tufan Nazar Mein Hai Na Kinara Nazar Mein Hai for youth and Student by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Free Download Tufan Nazar Mein Hai Na Kinara Nazar Mein Hai in PDF.