Zist Mein Rang Bhar Gai AaKHir

zist mein rang bhar gai aaKHir

wo nazar kaam kar gai aaKHir

jazb-e-wahshat ki karsazi se

dil ki qismat sanwar gai aaKHir

chir kar parda-e-mah-o-anjum

aap hi par nazar gai aaKHir

jo qayamat guzarni thi hum par

dil ke hathon guzar gai aaKHir

hae wo ek nigah-e-duzdida

kya kya ilzam dhar gai aaKHir

jo KHalish dil mein thi nihan pahle

rag-o-pai mein utar gai aaKHir

azm-e-taban se bar-sar-e-manzil

raushni si bikhar gai aaKHir

soz-e-dil ke tufail ai 'mansha'

shairi bhi nikhar gai aaKHir

(536) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zist Mein Rang Bhar Gai AaKHir In English By Famous Poet Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Zist Mein Rang Bhar Gai AaKHir is written by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Read famous Poem Zist Mein Rang Bhar Gai AaKHir for youth and Student by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Free Download Zist Mein Rang Bhar Gai AaKHir in PDF.