Wada Gar Rose Kiye Jaiyega

wada gar rose kiye jaiyega

rose samjhunga ki aaj aaiyega

jaan ka gham nahin gham ye hai ki aap

qatl kar ke mujhe pachhtaiyega

main bhi hun hazrat-e-naseh dana

kuchh samajh kar mujhe samjhaiyega

laghar itna hun ki hun ghar mein magar

mere ghar mein na mujhe paiyega

tum nahin qaul-o-qasam ke sachche

jhuT kahta hun qasam khaiyega

dar pe rahne ki ijazat de kar

kahte hain panw na phailaiyega

kya hai jo kahte ho mutrib se tum aaj

koi 'nazim' ki ghazal gaiyega

(445) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wada Gar Rose Kiye Jaiyega In English By Famous Poet Mohammad Yusuf Ali Khan Nazim Rampuri. Wada Gar Rose Kiye Jaiyega is written by Mohammad Yusuf Ali Khan Nazim Rampuri. Read famous Poem Wada Gar Rose Kiye Jaiyega for youth and Student by Mohammad Yusuf Ali Khan Nazim Rampuri. Free Download Wada Gar Rose Kiye Jaiyega in PDF.