Wahi Main Hun Wahi Meri Kahani Hai

wahi qissa mere dil ka

dil-e-wahshat-zada par baadalon ki tarah us umDe hue be-nam mausam ka

ki jo be-nam to tha hi kai barson se be-mani bhi ho kar rah gaya hai

aur ye main ne is liye likkha hai

kyun ki main ne is ke mani

be-had mazarat ke sath

ab tak

computer ke zamane ke kisi zarKHez-tar dil ke lughat mein bhi nahin dekhe

mere jazbon ke shaKH-o-barg par

be-shirkat-e-ghair yahi mausam hai jis ki hukmarani hai

wahi main hun wahi chaaron taraf raqsan meri afsurda shab hai

aur wahi meri thaki haari hui jagi hui roi hui aankhon ka

sannaTe ke rangon jaisa aangan hai

wahi KHwab-e-talab hai

aur wahi dard-e-shikasta-pa jo shayad ghair-rasmi par

us dil ke ab tak zinda rah jaane ka tan-e-tanha sabab hai

aur wahi kirdar-e-be-ja jo meri taqdir se mansub ho kar

is musallat-karda yak-tarfa kahani ke kisi andhe kuen mein

nichli zaton ke swembar jit jaane wale bad-qismat jari ki tarah

kab se jaan-ba-lab hai

han wahi is ki kahani hai

jo aadam aur hawwa ki nadamat ke zamane se bhi kuchh arsa purani hai

kahani ka safar jari hai

ye bhi itifaqan ka ek fitri ek tadriji amal hai

jo asatiri khilaunon ko

kisi tariKH ki tadwin tak

zina-ba-zina la ke

un ko masKH kar deta hai un mein un ka apna bhola-pan rahne nahin deta

aur is par ye ki us ka jabr

is bare mein rawi ko

kisi bhi shaKHs se

ek lafz bhi kahne nahin deta

kahani mein mera kirdar hi main hun

wahi main hun wahi meri kahani hai

(3239) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi Main Hun Wahi Meri Kahani Hai In English By Famous Poet Moin Nizaamii. Wahi Main Hun Wahi Meri Kahani Hai is written by Moin Nizaamii. Read famous Poem Wahi Main Hun Wahi Meri Kahani Hai for youth and Student by Moin Nizaamii. Free Download Wahi Main Hun Wahi Meri Kahani Hai in PDF.