Ejaz-e-jaan-dahi Hai Hamare Kalam Ko

ejaz-e-jaan-dahi hai hamare kalam ko

zinda kiya hai hum ne masiha ke nam ko

likkho salam ghair ke KHat mein ghulam ko

bande ka bas salam hai aise salam ko

ab shor hai misal jo di us KHiram ko

yun kaun jaanta tha qayamat ke nam ko

aata hai bahr-e-qatl wo daur ai hujum-e-yas

ghabra na jae dekh kahin azhdaham ko

go aap ne jawab bura hi diya wale

mujh se bayan na kije adu ke payam ko

yan wasl hai talafi-e-hijran mein ai falak

kyun sochta hai taza sitam intiqam ko

tere samand-e-naz ki beja shararten

karte hain aag nala-e-andesha-kaam ko

girye pe mere zinda-dilo hanste kya ho aah

rota hun apne main dil-e-jannat-maqam ko

sah sah ke na-durust teri KHu bigaD di

hum ne KHarab aap kiya apne kaam ko

us se jala ke ghair ko ummid-e-puKHtagi

lag jae aag dil ke KHayalat-e-KHam ko

baKHt-e-sapid aaina-dari kare to main

dikhlaun dil ke jaur us aaina-fam ko

jab tu chale janaza-e-ashiq ke sath sath

phir kaun warison ke sune izn-e-am ko

shayad ki din phire hain kisi tira-roz ke

ab ghair us gali mein nahin phirte sham ko

muddat se nam sunte the 'momin' ka bare aaj

dekha bhi hum ne us shoara ke imam ko

(603) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ejaz-e-jaan-dahi Hai Hamare Kalam Ko In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Ejaz-e-jaan-dahi Hai Hamare Kalam Ko is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Ejaz-e-jaan-dahi Hai Hamare Kalam Ko for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Ejaz-e-jaan-dahi Hai Hamare Kalam Ko in PDF.