Ism-e-azam

main mashhur ho gaya hun

achanak itna ziyaada

ki wo log mujhe bura kahne lage hain

jo kabhi mujhe mile hi nahin

jo mujhe jaante hi nahin

maherin-e-nafsiyat kahte hain

ghair-haqiqi duniya mein rahne wale

jazbaati log

KHud ko hero samajh kar

jagti aankhon ke KHwabon mein

apni marzi ke wilen taKHliq kar lete hain

is ghalat-fahmi ka talluq

un ke shuur se nahin hota

un ke aamal se nahin hota

un ke shajre se nahin hota

ye ek zehni aariza hai

is liye

mujhe kisi se shikayat nahin

marizon se hamdardi hai

aur thoDi si KHushi bhi

ki galiyon se kali karne wale

kuchh logon ko

mera nam le kar

taskin milne lagi hai

mera nam

ism-e-azam ban gaya hai

(1837) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ism-e-azam In English By Famous Poet Mubashshir Ali Zaidi. Ism-e-azam is written by Mubashshir Ali Zaidi. Read famous Poem Ism-e-azam for youth and Student by Mubashshir Ali Zaidi. Free Download Ism-e-azam in PDF.