Waris

nubuwwat ka silsila KHatm ho chuka

raunat ka silsila jari hai

ab koi zamana

kisi nabi ka zamana nahin

har daur

ek firaun ka daur hai

jis ke qabze mein

qarun ka KHazana hai

jis ne

ambiya ki miras par qabza kar liya hai

use pahchanna mushkil nahin

us ke pas

tauhin risalat ki talwar hai

jo us par iman na laen

wo lapata ho jate hain

jo iman le aaen

unhen wo KHizr ki tarah talash kar leta hai

nuh ki tarah

us ki kashti mein

har-nau ka jaanwar hai

us ke mahal mein

sulaiman ka taKHt bichha hai

muKHalifin ke liye

us ke qaid-KHane mein

isa ki suli hai

farishton ka lashkar use sajda karta hai

kyunki us ki baghal mein

musa ka asa hai

(1914) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waris In English By Famous Poet Mubashshir Ali Zaidi. Waris is written by Mubashshir Ali Zaidi. Read famous Poem Waris for youth and Student by Mubashshir Ali Zaidi. Free Download Waris in PDF.