Payaade

shatranj ki bisat par

baadshah qila-band rahta hai

jang wazir laDta hai

baadshah ki sari ummiden

wazir se wabasta yunhi hain

wazir apne mohron ko tahaffuz deta hai

dusre ke mohron ko shikar karta hai

khel aage baDhta hai

qilon mein shigaf paD jata hai

wazir agle mahaz par laDte laDte

kaam aa jata hai

lekin bazi KHatm nahin hoti

baadshah qile se nikalta hai

pyaadon par bharosa karta hai

payaade hausla pate hain

rah ki rukawaTen haTate hain

aage baDhte baDhte

kuchh der mein

wazir ban jate hain

(1816) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Payaade In English By Famous Poet Mubashshir Ali Zaidi. Payaade is written by Mubashshir Ali Zaidi. Read famous Poem Payaade for youth and Student by Mubashshir Ali Zaidi. Free Download Payaade in PDF.