Nazm
roz raat ke pahle pahar
kore kaghaz par tumhaara nam likhta hun
aur mausam-e-bahaar ka aaghaz ho jata hai
kaghaz par tumhaare nam se ek bel phuTti hai
us ki konplen nikalti hain
KHush-rang shagufe khilte hain
bel mohabbat ki dhun par nachna shurua kar deti hai
nachte nachte pure waraq ko gulistan kar deti hai
main thoDi si KHush-bu apne hathon par mal leta hun
kuchh rang apne chehre par laga leta hun
muskan honTon par saja leta hun
baqi raat pure ek sau phulon ka itr kashid karta hun
itr apni bayaz par unDel deta hun
nazm ban jati hai
(2817) Peoples Rate This