Shama
aaj us dil-ruba ki sal girah hai
lekin main us hasin sham ka intizar nahin kar saka
kal raat hi jashn manane us ke dar par pahunch gaya
mere hathon mein surKH gulab the
aur bahaar ki KHush-bu
aankhon mein pyar tha
aur bahut se sawal
honTon par KHushiyon ke git the
aur thoDi si pyas
dil-ruba ke samne ek shama jal rahi thi
KHushi ke is mauqe par
Thik barah baje
us ne wahi kiya jo sal-girah manane wale karte hain
qatil adaon wali ne
be-niyazi se phunk mar ke
meri mohabbat ki shama gul kar di
(3120) Peoples Rate This