Intizar Ke Baad

ungliyon mein dabi hui cigarette ka

ek aur kash lene se pahle main ne

balcony mein jhanka

wo ab bhi nahin aaya tha

kamre mein chand saat ke liye

be-his-o-harakat khaDa rahna

ajib sa laga aur tab

main ne sulagti hui cigarette ko

jis ke abhi kai aur kash liye ja sakte the

chhoTi si gol mez par buri tarah se masal Dala

dayan hath tezi se ghuma aur

kanch ka KHubsurat gilas mez se uchhal kar

farsh par gira aur chakna-chur ho gaya

aur us se pahle ki main

nokili kirchiyon ko chunne ki cheshTa mein

apne bojhal sharir ko kursi se uThata

wo achanak darwaza khol kar

kamre mein hazir ho gaya

pashemani ke qatre

meri jabin par saf jhalak uThe the

lekin mujhe mahsus hua

ki main unhen rumal mein jazb kar lene ki jurat bhi

kho chuka tha

(1346) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Intizar Ke Baad In English By Famous Poet Mushtaq Ali Shahid. Intizar Ke Baad is written by Mushtaq Ali Shahid. Read famous Poem Intizar Ke Baad for youth and Student by Mushtaq Ali Shahid. Free Download Intizar Ke Baad in PDF.