Lahu Mein Utarta Hua Mausam

hawaon ki barfab si ungliyan

kah rahi hain

kahin pas hi

musla-dhaar barish hui hai

pahaDon ki daman mein shayad

gai raat ko barf girti rahi hai

lahu mein utarta hua

dusra ek lamha

kahin kuchh nahin

kuchh bhi badla nahin hai

na mausam na garmi hawa ki

faqat mere ehsas ki yaKH-bastagi

chupke chupke

mere KHun ko munjamid kar rahi hai

mere jism mein

kapkapi bhar rahi hai

(1140) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lahu Mein Utarta Hua Mausam In English By Famous Poet Mushtaq Ali Shahid. Lahu Mein Utarta Hua Mausam is written by Mushtaq Ali Shahid. Read famous Poem Lahu Mein Utarta Hua Mausam for youth and Student by Mushtaq Ali Shahid. Free Download Lahu Mein Utarta Hua Mausam in PDF.