Mujhse Puchho

main har daur mein janma

baaten har yug ki

dohra sakta hun

mujh se puchho

main suqraat ke honTon par tha

zahr ka pyala

main ne piya tha

aur suqraat mera kab tha

ram ne kab ban-bas liya tha

wo to main tha

chaudah sal to main ne kaTe

jangal jangal sahra sahra

main bhaTka tha

aur lanka tak

tum ko to malum nahin hai

main bhi nuh ki kashti par tha

tum kya jaano

wo kashti to Dub gai thi

us kashti ka koi musafir

kahan bacha tha

bas ek main hi bach nikla tha

mujh se puchho

aur bahut si baaten

main samjha sakta hun

main har daur mein janma

main har daur mein janma

baaten har yug ki

dohra sakta hun

(973) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhse Puchho In English By Famous Poet Mushtaq Ali Shahid. Mujhse Puchho is written by Mushtaq Ali Shahid. Read famous Poem Mujhse Puchho for youth and Student by Mushtaq Ali Shahid. Free Download Mujhse Puchho in PDF.