Ishq Ko Aankh Mein Jalte Dekha

ishq ko aankh mein jalte dekha

phul ko aag mein khilte dekha

ishq ke raaz na puchho sahab

ishq ko dar pe chaDhte dekha

ishq ke dam bhi lag jate hain

misr mein us ko bikte dekha

ishq hai wajib us ko hum ne

jism aur jaan mein utarte dekha

us ko hawas ka nam na dena

lauh pe us ko likhte dekha

arsh bhi hairat se takta tha

dasht mein us ko palte dekha

ishq anokha manzar jis mein

raaz ko KHwab mein Dhalte dekha

hijr ka zaKHm to zaKHm hai aisa

baKHiya-garon se bhi khulte dekha

ishq wo bagh hai jis ko hum ne

hijr ki rut mein mahakte dekha

gham kya hijr aur visal ka us ko

ishq mein jis ko bhaTakte dekha

(1696) Peoples Rate This

Najma Shaheen Khosa's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Ishq Ko Aankh Mein Jalte Dekha In English By Famous Poet Najma Shaheen Khosa. Ishq Ko Aankh Mein Jalte Dekha is written by Najma Shaheen Khosa. Read famous Poem Ishq Ko Aankh Mein Jalte Dekha for youth and Student by Najma Shaheen Khosa. Free Download Ishq Ko Aankh Mein Jalte Dekha in PDF.