Dagh-e-dil Dagh-e-tamanna Mil Gaya

dagh-e-dil dagh-e-tamanna mil gaya

dil lagane ka natija mil gaya

us saKHi ki bargah mein kya kami

jis ne jo kuchh us se manga mil gaya

un ke daman tak pahunch ab bhi nahin

KHak mein mil kar mujhe kya mil gaya

ab kami beshi ka rona kis liye

jo muqaddar mein likha tha mil gaya

thi tere dar se talab har ek ko

mughtanim hai jis ko jitna mil gaya

sainkaDon ilzam lakhon tohmaten

un se milne ka natija mil gaya

likh gae wo mere madfan par 'nasim'

KHak mein mil kar tujhe kya mil gaya

(1039) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dagh-e-dil Dagh-e-tamanna Mil Gaya In English By Famous Poet Naseem Noor Mahali. Dagh-e-dil Dagh-e-tamanna Mil Gaya is written by Naseem Noor Mahali. Read famous Poem Dagh-e-dil Dagh-e-tamanna Mil Gaya for youth and Student by Naseem Noor Mahali. Free Download Dagh-e-dil Dagh-e-tamanna Mil Gaya in PDF.