Ek Hai Phir Bhi Hai KHuda Sab Ka

ek hai phir bhi hai KHuda sab ka

is ka us ka mera tera sab ka

husn-e-mastur ko ayan kar de

ek ho jae muddaa sab ka

jurm-e-dil ki saza mili mujh ko

main ne paya liya diya sab ka

naza mein de gae jawab hawas

eatibar aaj uTh gaya sab ka

ek begana-KHu ko dil de kar

main gunahgar ho gaya sab ka

main kisi ka nahin siwa jis ke

hae wo hai mere siwa sab ka

aisi kya ho gai KHata mujh se

mujh pe hai jaur-e-na-rawa sab ka

sab ko chhoDa hai main ne jis ke liye

wo sitamgar hai aashna sab ka

ek manzil hai ai 'nasim' magar

jada-e-shauq hai juda sab ka

(1178) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Hai Phir Bhi Hai KHuda Sab Ka In English By Famous Poet Naseem Noor Mahali. Ek Hai Phir Bhi Hai KHuda Sab Ka is written by Naseem Noor Mahali. Read famous Poem Ek Hai Phir Bhi Hai KHuda Sab Ka for youth and Student by Naseem Noor Mahali. Free Download Ek Hai Phir Bhi Hai KHuda Sab Ka in PDF.