Na Shikwa Lab Tak Aaega Na Nala Dil Se Niklega
na shikwa lab tak aaega na nala dil se niklega
mere zabt-e-mohabbat ka bharam mushkil se niklega
na hasrat dil se niklegi na arman dil se niklega
jo is phande mein phans jaega wo mushkil se niklega
KHuda rakkhe ye pas-e-waza mein tum se bhi baDh kar hai
tumhin aa kar nikaloge to arman dil se niklega
bahut roegi duniya us bashar ki bad-nasibi par
jo dagh-e-arzu le kar teri mahfil se niklega
na khinch ai mehrban sine se mere tir rahne de
nikal jaega dam mera jo paikan dil se niklega
ye maujon ke nahin ai na-KHuda taqdir ke bal hain
safina gharq ho kar daman-e-sahil se niklega
jo dam nikle to meri mushkilen aasan ho jaen
magar ye bhi to mushkil hai ki dam mushkil se niklega
'nasim' achchhi ghazal par dad denge ahl-e-dil dil se
utar jaega dil mein sher jo bhi dil se niklega
(1467) Peoples Rate This