Ahinsa Ki Pahli Sunahri Kiran

KHiraman KHiraman chali aa rahi hai

nigahon pe ek husn se chha rahi hai

har ek gam par nur bikhra rahi hai

ufuq par wo parcham ko lahra rahi hai

ahinsa ki pahli sunahri kiran

mili kimiya-gar ko aaKHir wo buTi

ki jis se alaeq ki zanjir TuTi

shab-e-tar mein jaise mahtab chhuTi

tajalli ke parde se phuTi wo phuTi

ahinsa ki pahli sunahri kiran

naya rup hasti ne paida kiya hai

har ek dil mein ek walwala bhar raha hai

musibat ka ehsas himmat-faza hai

ki arbab-e-binish ki ab rahnuma hai

ahinsa ki pahli sunahri kiran

zamin-o-zaman ham-nawa ho rahe hain

ki dil wale tuKHm-e-wafa bo rahe hain

wahi pa rahe hain jo kuchh kho rahe hain

jagaegi un ko bhi jo so rahe hain

ahinsa ki pahli sunahri kiran

(1000) Peoples Rate This

Nawab Jafar Ali Khan Asar's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Ahinsa Ki Pahli Sunahri Kiran In English By Famous Poet Nawab Jafar Ali Khan Asar. Ahinsa Ki Pahli Sunahri Kiran is written by Nawab Jafar Ali Khan Asar. Read famous Poem Ahinsa Ki Pahli Sunahri Kiran for youth and Student by Nawab Jafar Ali Khan Asar. Free Download Ahinsa Ki Pahli Sunahri Kiran in PDF.