Izhaar-e-haal Sun Ke Hamara Kabhi Kabhi

izhaar-e-haal sun ke hamara kabhi kabhi

wo bhi hue hain anjuman-ara kabhi kabhi

main aur arz-e-shauq meri kya majal hai

hota hai us taraf se ishaara kabhi kabhi

rah-e-talab mein aur koi rahnuma nahin

deti hain laghzishen hi sahaara kabhi kabhi

sunta hun mujh se chhuT ke nahin wo bhi mutmain

nazron ko DhunDhta hai nazara kabhi kabhi

aaya shab-e-firaq wo hangam-e-be-kasi

KHud apna nam le ke pukara kabhi kabhi

sach hai ki rahaten hi nahin husn-e-zindagi

gham ne bhi zindagi ko sanwara kabhi kabhi

yun tai hue 'shajia' mohabbat ke raste

baDh baDh ke manzilon ne pukara kabhi kabhi

(1322) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Izhaar-e-haal Sun Ke Hamara Kabhi Kabhi In English By Famous Poet Nawab Moazzam Jah Shaji. Izhaar-e-haal Sun Ke Hamara Kabhi Kabhi is written by Nawab Moazzam Jah Shaji. Read famous Poem Izhaar-e-haal Sun Ke Hamara Kabhi Kabhi for youth and Student by Nawab Moazzam Jah Shaji. Free Download Izhaar-e-haal Sun Ke Hamara Kabhi Kabhi in PDF.