Jam Khaali Hain Mai-e-nab Kahan Se Laun

jam KHali hain mai-e-nab kahan se laun

aap ka dida-e-pur-ab kahan se laun

kah sakun un ki nigahon ka tabassum jis ko

ek aisa dil-e-be-tab kahan se laun

ishq KHud apni jagah par hai mukammal lekin

husn ka jauhar-e-nayab kahan se laun

samna tum se mohabbat mein jo ho jae kabhi

ek naya aalam-e-asbab kahan se laun

kaba-o-dair ki rahon se guzar jata hun

mahfil-e-naz ke aadab kahan se laun

ek hi bar nasheman pe giri hai bijli

barha gulshan-e-shadab kahan se laun

jo kabhi un ki tawajjoh ka natija thi 'shajia'

phir wahi kaifiyat-e-KHwab kahan se laun

(1107) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jam Khaali Hain Mai-e-nab Kahan Se Laun In English By Famous Poet Nawab Moazzam Jah Shaji. Jam Khaali Hain Mai-e-nab Kahan Se Laun is written by Nawab Moazzam Jah Shaji. Read famous Poem Jam Khaali Hain Mai-e-nab Kahan Se Laun for youth and Student by Nawab Moazzam Jah Shaji. Free Download Jam Khaali Hain Mai-e-nab Kahan Se Laun in PDF.