Jazba-e-dard-e-mohabbat Ne Agar Sath Diya

jazba-e-dard-e-mohabbat ne agar sath diya

baat ban jaegi qismat ne agar sath diya

aap uThenge kab aaghosh-e-tamanna se meri

zindagi ka shab-e-furqat ne agar sath diya

sath degi na kabhi meri mohabbat mera

aap ki chashm-e-inayat ne agar sath diya

nahin malum ki anjam-e-mohabbat kya ho

gham ka KHud gham ki haqiqat ne agar sath diya

kahin gumnam na ho jaen wafa mein meri

meri ruswai ki shohrat ne agar sath diya

bad-gumani mein mohabbat ka izafa hoga

KHud mera meri musibat ne agar sath diya

chain se hogi basar apni judai mein 'shajia'

un nigahon ki shararat ne agar sath diya

(1422) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jazba-e-dard-e-mohabbat Ne Agar Sath Diya In English By Famous Poet Nawab Moazzam Jah Shaji. Jazba-e-dard-e-mohabbat Ne Agar Sath Diya is written by Nawab Moazzam Jah Shaji. Read famous Poem Jazba-e-dard-e-mohabbat Ne Agar Sath Diya for youth and Student by Nawab Moazzam Jah Shaji. Free Download Jazba-e-dard-e-mohabbat Ne Agar Sath Diya in PDF.