Kis Ke Naghme Gunjte Hain Zindagi Ke Saz Mein

kis ke naghme gunjte hain zindagi ke saz mein

ek nai aawaz shamil hai meri aawaz mein

mere ghar mein chha rahi thi sham-e-gham ki tirgi

jab ujala ho raha tha jalwa-gah-e-naz mein

dard-e-dil mein yun bhi jab hoti nahin koi kami

kya zaruri hai izafa husn ke andaz mein

main agar KHamosh hun KHamosh rahne dijiye

meri KHamoshi se kya kya hadse hain raaz mein

hum ne dekhe hain kuchh aise bhi asiran-e-chaman

jin ki sari umr guzri hasrat-e-parwaz mein

hans raha hun yaad kar ke ishq ki nadaniyan

sun raha hun dastan apni tere andaz mein

tum na hote is qadar ruswa zamane mein 'shajia'

soch lete ishq ka anjam agar aaghaz mein

(1360) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Ke Naghme Gunjte Hain Zindagi Ke Saz Mein In English By Famous Poet Nawab Moazzam Jah Shaji. Kis Ke Naghme Gunjte Hain Zindagi Ke Saz Mein is written by Nawab Moazzam Jah Shaji. Read famous Poem Kis Ke Naghme Gunjte Hain Zindagi Ke Saz Mein for youth and Student by Nawab Moazzam Jah Shaji. Free Download Kis Ke Naghme Gunjte Hain Zindagi Ke Saz Mein in PDF.