Nazar Se Chhup Gae Dil Se Juda To Hona Tha

nazar se chhup gae dil se juda to hona tha

is ehtimam se tum ko KHafa to hona tha

wafa KHud apne muqabil hui mohabbat mein

tere sitam ki koi intiha to hona tha

kahan pahunch ke ruke aap bewafai se

lihaz meri wafa ka zara to hona tha

sanwar ke aaina dekha to hans ke farmaya

wo samne hain magar samna to hona tha

agar idhar se wo guzre hain be-KHayali mein

qarib-e-dil koi aawaz-e-pa to hona tha

wo le gae hain agar bu-e-gul ko sath 'shajia'

kam-az-kam aaj chaman mein saba to hona tha

(1471) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Se Chhup Gae Dil Se Juda To Hona Tha In English By Famous Poet Nawab Moazzam Jah Shaji. Nazar Se Chhup Gae Dil Se Juda To Hona Tha is written by Nawab Moazzam Jah Shaji. Read famous Poem Nazar Se Chhup Gae Dil Se Juda To Hona Tha for youth and Student by Nawab Moazzam Jah Shaji. Free Download Nazar Se Chhup Gae Dil Se Juda To Hona Tha in PDF.