Shahr-e-alam Ka Shahryar Aa Gaya

shahr-e-alam ka shahryar aa gaya

sar-barahna mera tajdar aa gaya

subh-e-KHandan liye ru-e-taban liye

sham-e-ghurbat tera gham-gusar aa gaya

sabr arzan hua jabr larzan hua

sahab-e-shan-e-sad-iKHtiyar aa gaya

nala-karo uTho sogwaro uTho

be-qararo koi be-qarar aa gaya

kaenat apni hai ab hayat apni hai

ghamkasho gham-zado gham-gusar aa gaya

taza ab gham na kar KHam ko ab KHam na kar

saqiya hasil-e-intizar aa gaya

jam chhalka diya shoala bhaDka diya

yaad aaKHir zuleKHa ka pyar aa gaya

raat khulne lagi chandni dhul gai

mah-wash mah-shikan mah-shiar aa gaya

zaKHm-e-pinhan mahak tair-e-jaan lahak

gul-badan gul-jabin gul-e-ezar aa gaya

baat kyun rok li aankh kyun nam hui

mujh ko dekho mujhe eatibar aa gaya

aap sochen nazar kis liye mast hai

aap ke sath abr-e-bahaar aa gaya

(1449) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr-e-alam Ka Shahryar Aa Gaya In English By Famous Poet Nazar Hyderabadi. Shahr-e-alam Ka Shahryar Aa Gaya is written by Nazar Hyderabadi. Read famous Poem Shahr-e-alam Ka Shahryar Aa Gaya for youth and Student by Nazar Hyderabadi. Free Download Shahr-e-alam Ka Shahryar Aa Gaya in PDF.