Kis Mein KHubi Hai Jalane Mein Ki Jal Jaane Hain

kis mein KHubi hai jalane mein ki jal jaane hain

shama mein soz ziyaada hai ki parwane mein

lazzat-e-dard ko ek KHar mayassar na hua

dil ka kanTa na nikala gaya virane mein

mere pur-dard bayan ne mujhe marne na diya

maut ko nind si aai mere afsane mein

aab-e-kausar to na tha chashm-e-siyah mein teri

paD gai jaan tujhe dekh ke diwane mein

haq-parasti meri kabe se sada deti hai

dil mein kar yaad KHuda baiTh ke but-KHane mein

gham ghalat karta hun pi pi ke jigar ke aansu

shabnami mai hai meri aankh ke paimane mein

mujh ko jab saqi-e-maghrur ne saghar na diya

'auj' aansu nikal aae mere maiKHane mein

(1294) Peoples Rate This

Raj Bahadur Saxena Auj's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Kis Mein KHubi Hai Jalane Mein Ki Jal Jaane Hain In English By Famous Poet Raj Bahadur Saxena Auj. Kis Mein KHubi Hai Jalane Mein Ki Jal Jaane Hain is written by Raj Bahadur Saxena Auj. Read famous Poem Kis Mein KHubi Hai Jalane Mein Ki Jal Jaane Hain for youth and Student by Raj Bahadur Saxena Auj. Free Download Kis Mein KHubi Hai Jalane Mein Ki Jal Jaane Hain in PDF.