Kabhi Kabhi

kabhi kabhi mere dil mein KHayal aata hai

ki zindagi teri zulfon ki narm chhanw mein

guzarne pati to shadab ho bhi sakti thi

ye tirgi jo meri zist ka muqaddar hai

teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi

ajab na tha ki main begana-e-alam ho kar

tere jamal ki ranaiyon mein kho rahta

tera gudaz-badan teri nim-baz aankhen

inhi hasin fasanon mein mahw ho rahta

pukartin mujhe jab talKHiyan zamane ki

tere labon se halawat ke ghunT pi leta

hayat chiKHti phirti barahna sar aur main

ghaneri zulfon ke sae mein chhup ke ji leta

magar ye ho na saka aur ab ye aalam hai

ki tu nahin tera gham teri justuju bhi nahin

guzar rahi hai kuchh is tarah zindagi jaise

use kisi ke sahaare ki aarzu bhi nahin

zamane bhar ke dukhon ko laga chuka hun gale

guzar raha hun kuchh an-jaani rahguzaron se

muhib sae meri samt baDhte aate hain

hayat o maut ke pur-haul KHarzaron se

na koi jada-e-manzil na raushni ka suragh

bhaTak rahi hai KHalaon mein zindagi meri

inhi KHalaon mein rah jaunga kabhi kho kar

main jaanta hun meri ham-nafas magar yunhi

kabhi kabhi mere dil mein KHayal aata hai

(4554) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Kabhi In English By Famous Poet Sahir Ludhianvi. Kabhi Kabhi is written by Sahir Ludhianvi. Read famous Poem Kabhi Kabhi for youth and Student by Sahir Ludhianvi. Free Download Kabhi Kabhi in PDF.