Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun Tum Chupke Se Aa Jate Ho

main jab bhi akeli hoti hun tum chupke se aa jate ho

aur jhank ke meri aankhon mein bite din yaad dilate ho

mastana hawa ke jhonkon se har bar wo parde ka hilna

parde ko pakaDne ki dhun mein do ajnabi hathon ka milna

aankhon mein dhuan sa chha jaana sanson mein sitare se khulna

raste mein tumhaara muD muD kar takna wo mujhe jate jate

aur mera ThiThak kar ruk jaana chilman ke qarib aate aate

nazron ka taras kar rah jaana ek aur jhalak pate pate

baalon ko sukhane ki KHatir koThe pe wo mera aa jaana

aur tum ko muqabil pate hi kuchh sharmana kuchh bal khana

ham-sayon ke Dar se katrana ghar walon ke Dar se ghabrana

ro ro ke tumhein KHat likhti hun aur KHud paDh kar ro leti hun

haalat ke tapte tufan mein jazbaat ki kashti kheti hun

kaise ho kahan ho kuchh to kaho main tum ko sadaen deti hun

main jab bhi akeli hoti hun tum chupke se aa jate ho

aur jhank ke meri aankhon mein bite din yaad dilate ho

(2652) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun Tum Chupke Se Aa Jate Ho In English By Famous Poet Sahir Ludhianvi. Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun Tum Chupke Se Aa Jate Ho is written by Sahir Ludhianvi. Read famous Poem Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun Tum Chupke Se Aa Jate Ho for youth and Student by Sahir Ludhianvi. Free Download Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun Tum Chupke Se Aa Jate Ho in PDF.