Aabla Khaar-e-sar-e-mizhgan Ne PhoDa Sanp Ka

aabla KHar-e-sar-e-mizhgan ne phoDa sanp ka

seli-e-zulf-e-rasa ne kalla toDa sanp

panja-e-dandan teri kanghi ne moDa sanp ka

kar ke gesu-e-kalai hath toDa sanp ka

kudki si mere sar par ishq-e-gesu hai sawar

chob ki badli banata tha main ghoDa sanp ka

bar-e-firauni pe teri zulf agar bandhe kamar

azhdar-e-musa ke tausan par ho kuDa sanp ka

main hun wo ranjur-e-gesu aks agar mera paDe

mohr-e-har-e-ustuKHwan ban jae phoDa sanp ka

jab siyah botal se mai-rezi hui daur-e-firaq

main ye samjha zahr saqi ne nichoDa sanp ka

hai qadam us ka hawa par panw us ka KHak par

zulf ke mushki ko kab pata hai ghoDa sanp ka

aashiq-e-zulf-e-siyah ko is tarah tazir do

sanp ki rassi banao aur koDa sanp ka

zulf-e-kaj-raftar ki kab chaal chal sakta hai wo

aisi Thokar khae sar ban jae roDa sanp ka

ek din ho jaega raushan siyah-kari ka haal

donon baghlon mein jaride hain ki joDa sanp ka

jaanta hun main tere ras-o-zanab ko ai falak

mere Dasne ke liye pala hai joDa sanp ka

kya tajjub husn-e-jaanan se agar puchhe gazand

KHal mein bichchhu ka joDa zulfen joDa sanp ka

sanp ke kaTe ki lahr aae jo wasf-e-zulf mein

'bahr' ne phir to koi mazmun na chhoDa sanp ka

(667) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aabla Khaar-e-sar-e-mizhgan Ne PhoDa Sanp Ka In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Aabla Khaar-e-sar-e-mizhgan Ne PhoDa Sanp Ka is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Aabla Khaar-e-sar-e-mizhgan Ne PhoDa Sanp Ka for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Aabla Khaar-e-sar-e-mizhgan Ne PhoDa Sanp Ka in PDF.