Aahon Se Honge Gumbad-e-haft-asman KHarab

aahon se honge gumbad-e-haft-asman KHarab

kis kis makan ko na karega dhuan KHarab

mar kar bhi apne sath rahen harza-gardiyan

hai musht-e-KHak surat-e-reg-e-rawan KHarab

qamat wo hai ki jis se qayamat hai aashkar

naqsha wo hai ki jis se hai naqsh-e-jahan KHarab

tab-o-tawan ko jism mein yun DhunDhti hai ruh

jaise ghubar-e-rah pas-e-karwan KHarab

na-saz ho mizaj to baaton mein kya maza

bimar ki tarah hai zaban-o-dahan KHarab

zewar zawal-e-husn mein pahna to kya bahaar

patte sunahre surat-e-barg-e-KHizan KHarab

qatmir se karunga sag-e-yar ka gila

marqad ke ghaar mein jo huin haDDiyan KHarab

ai 'bahr' tujh ko DhunD phire shash-jihat mein hum

tera pata kahin bhi hai o KHanuman-KHarab

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aahon Se Honge Gumbad-e-haft-asman KHarab In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Aahon Se Honge Gumbad-e-haft-asman KHarab is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Aahon Se Honge Gumbad-e-haft-asman KHarab for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Aahon Se Honge Gumbad-e-haft-asman KHarab in PDF.