Aarastgi BaDi Jila Hai

aarastgi baDi jila hai

patthar ki baghal mein aaina hai

mujh ko yahi aap se gila hai

puchha na kabhi ki haal kya hai

allah re husn ki lagawaT

daud raqib aur ya hai

khoTe hain tilai rang wale

us sone ko barha kasa hai

baalon ke ghaTa tale hain jhaale

meinh motiyon ka baras raha hai

taqdir mein aag lagi gai hai

aalam se jigar jala-bhuna hai

piri mein hai harf zindagi par

jo qad KHamida hai wo la hai

pite hain sharab ma-badaulat

saqi bat-e-mai nahin huma hai

main dauD raha hun us ke pichhe

jo sae se apne bhagta hai

bimar hun KHub-suraton ka

husn-e-yusuf meri dawa hai

barik kamar hai kya hi us ki

talwar mein baal aa gaya hai

bhawon par jo dupaTTe ka hai lachka

paTTha talwar par chara hai

kamre ka khula hai dar sar-e-rah

mashuq baghal mein hai ye kya hai

kyun hote ho 'bahr' tasht-az-baam

chilman chhoDwa do samna hai

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aarastgi BaDi Jila Hai In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Aarastgi BaDi Jila Hai is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Aarastgi BaDi Jila Hai for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Aarastgi BaDi Jila Hai in PDF.