Aashna Koi Ba-wafa Na Mila

aashna koi ba-wafa na mila

kashti-e-dil ka naKHuda na mila

ja-e-marham namak chhiDakna tha

zaKHm khane ka kuchh maza na mila

us ke kuche mein aise bhule hum

ghar ke jaane ka rasta na mila

dil diya jis ko ranj hai paya

koi dildar ba-wafa na mila

zindagi talKH ho gai apni

tujh se milne ka kuchh maza na mila

dekh li hum ne dosti teri

hum se ab aankh bewafa na mila

kuchh ijara nahin bane na bane

kya shikayat hai dil mila na mila

aasman par dimagh-e-yar raha

kabhi jhuk kar wo mah-laqa na mila

bosa-e-lab ki tum se kya ummid

ek biDa bhi pan ka na mila

DhunDhti hain kunisht mein ja kar

shaiKH kabe mein to KHuda na mila

ek ek ko pilae do do jam

dard bhi hum ko saqiya na mila

naqal kab asl ki muqabil hai

us ke chehre se aa bana na mila

nazar aai jo wo dahan to kahun

mujh ko anqa ka aashiyana mila

jin ko takiya tha apni masnad par

un ko dekha ki boriya na mila

'bahr' nikle the DhunDhne us ko

aise khoe gae pata na mila

(1105) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashna Koi Ba-wafa Na Mila In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Aashna Koi Ba-wafa Na Mila is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Aashna Koi Ba-wafa Na Mila for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Aashna Koi Ba-wafa Na Mila in PDF.