Aatish-e-bagh Aise BhaDki Hai Ki Jalti Hai Hawa

aatish-e-bagh aise bhaDki hai ki jalti hai hawa

kucha-e-gul se dhuan ho kar nikalti hai hawa

soz-e-wahshat mein dhuen ki shakl kahish hai mujhe

main hawa khata nahin mujh ko nigalti hai hawa

dam agar nikla badan se phir baDi taskin hai

KHak patthar ho ke jamti hai jo Talti hai hawa

giryae-e-ushshaq se kichaD hai aise ja-ba-ja

tham kar diwar-o-dar galiyon mein chalti hai hawa

ja-ba-ja mujh ko liye phirti hai duniya ki hawas

baiTh jata hai bagula jab nikalti hai hawa

gulshan-e-alam ki nairangi se hota hai yaqin

phir shagufa phulta hai phir badalti hai hawa

hain bhi aahen to munh se bahar aata hai jigar

zarre ko rauzan se aksar le nikalti hai hawa

nazuki mein shaKH-e-gul hai sarw-e-baala yar ka

jhonke leta hai jo aahista bhi chalti hai hawa

KHak uDti hi jo us ke panw se gul-gasht mein

phulon ke munh par bajae ghaza malti hai hawa

dekhiye chal kar zara kaifiyyat-e-josh-e-bahaar

jhumte hain peD gir gir kar sambhalti hai hawa

na-rasai dekhna uDta hai jab mera ghubar

yar ke koThe ke kanis se phisalti hai hawa

garmiyon mein sair gulzaron ki bhati hai mujhe

har qadam par pankhiya phulon ki jhalti hai hawa

KHar kahte hain uTha kar ungliyan gul ki taraf

phul jate hain wo kaisa jin ko phalti hai hawa

sarw-e-qirtas-e-muqarriz hun main is gulzar mein

KHak mein pani milata hai masalti hai hawa

'bahr' pankha hath se rakh do nihayat zar hun

mauj-e-dariya ki tarah mujh ko kuchalti hai hawa

(799) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aatish-e-bagh Aise BhaDki Hai Ki Jalti Hai Hawa In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Aatish-e-bagh Aise BhaDki Hai Ki Jalti Hai Hawa is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Aatish-e-bagh Aise BhaDki Hai Ki Jalti Hai Hawa for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Aatish-e-bagh Aise BhaDki Hai Ki Jalti Hai Hawa in PDF.