Aatish-e-bagh Aisi BhaDki Hai Ki Jalti Hai Hawa

aatish-e-bagh aisi bhaDki hai ki jalti hai hawa

kucha-e-gul se dhuan ho kar nikalti hai hawa

girya-e-ushshaq se kichaD hai aise ja-ba-ja

tham kar diwar-o-dar galiyon mein chalti hai hawa

gulshan-e-alam ki nairangi se hota hai yaqin

phir shagufa phulta hai phir badalti hai hawa

dekhiye ja kar zara kaifiyyat-e-josh-e-bahaar

jhumte hain peD gir gir kar sambhalti hai hawa

na-rasai dekhna uDta hai jab mera ghubar

yar ke koThe ki kanis se phisalti hai hawa

garmiyon mein sair gulzaron ki bhati hai mujhe

har qadam par pankhiya phulon ki jhalti hai hawa

'bahr' pankha hath se rakh do nihayat zar hun

mauj-e-dariya ki tarah mujh ko kuchalti hai hawa

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aatish-e-bagh Aisi BhaDki Hai Ki Jalti Hai Hawa In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Aatish-e-bagh Aisi BhaDki Hai Ki Jalti Hai Hawa is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Aatish-e-bagh Aisi BhaDki Hai Ki Jalti Hai Hawa for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Aatish-e-bagh Aisi BhaDki Hai Ki Jalti Hai Hawa in PDF.