Ab Marna Hai Apne KHushi Hai Jine Se Be-zari Hai

ab marna hai apne KHushi hai jine se be-zari hai

ishq mein aise halke hue hain jaan badan ko bhaari hai

shikwe ki charcha hoti hai chupke hi rahna behtar hai

dil ko jalana dil-sozi hai ye gham-e-duniya gham-KHwari hai

kis ka wada kaun aata hai chain se sota hoga wo

raat bahut aai hai ai dil ab nahaq bedari hai

daw tha apna jab wo hum se chaupaD sikhne aate the

ab kuchh chaal nahin ban aati jit ke bazi haari hai

luTte dekha ghash mein dekha marte bhi dekha us ne mujhe

itna na puchha kaun hai ye is shaKHs ko kya bimari hai

hijr sitam hai kulfat-o-gham hai kis se kahiye haal apna

din ko paDe rahna munh Dhanke raat ko girya-o-zari hai

uTTho kapDe badlo chalo kya baiThe ho 'bahr' udas udas

sair ke din hain phul khile hain josh pe fasl-e-bahaari hai

(819) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Marna Hai Apne KHushi Hai Jine Se Be-zari Hai In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Ab Marna Hai Apne KHushi Hai Jine Se Be-zari Hai is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Ab Marna Hai Apne KHushi Hai Jine Se Be-zari Hai for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Ab Marna Hai Apne KHushi Hai Jine Se Be-zari Hai in PDF.