Aise Pur-noor-o-ziya Yar Ke RuKHsare Hain

aise pur-noor-o-ziya yar ke ruKHsare hain

jin ke aage mah-o-KHurshid bhi do tare hain

koi un aankhon se us sabza-e-KHat ko puchhe

ye wo kanTe hain ki palkon se siwa pyare hain

koi sabqat na kabhi KHal se jitne ho bacho

sanp gesu-e-siyah-fam se man haare hain

kyun kar angiya mein na ho surat-e-jauza paida

gore gore tere pistan hain ki mah-pare hain

fasl-e-gul aae kali koi na koi chaTke

aaj murghan-e-sahar bagh mein chahkare hain

ishq-e-atfal-e-chaman mein hain anadil betab

aashiyanon ka ye aalam hai ki gahware hain

qatl karta hai mujhe kyun shab-e-furqat KHamosh

ai moazzin mad-e-takbir nahin aare hain

ek din parcha lagaenge nakirain zarur

ye farishte nahin aKHbar ke harkare hain

KHal-e-mushkin ne dil aisa hi jalaya hai ki bas

koelon par bhi ye dhoka hai ki angare hain

KHwan-e-neamat se kabhi KHat na uThaenge baKHil

mal kha sakti hain taqdir ne munh mare hain

na saza-war-e-hazar hun na mubarak hai safar

mere palle pe na sabit hain na sayyare hain

rang gulzar ka shabnam sa uDa jata hai

ru-ba-ru tere hazari nahin fawware hain

wah kya yar ke honTon ki main tarif karun

jaan shirin nahin jin se wo shakar-pare hain

KHana-e-ishq ke mehman hain hum aur tadur

dagh hain hum ko nasib aur use angare hain

'bahr' ayyam-e-judai mein na kapDe phaDo

ye samajh lo ki shab-e-wasl ke kaffare hain

(1103) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aise Pur-noor-o-ziya Yar Ke RuKHsare Hain In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Aise Pur-noor-o-ziya Yar Ke RuKHsare Hain is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Aise Pur-noor-o-ziya Yar Ke RuKHsare Hain for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Aise Pur-noor-o-ziya Yar Ke RuKHsare Hain in PDF.