Aisi Koyal Na Papihe Ki Hai Pyari Aawaz

aisi koyal na papihe ki hai pyari aawaz

kya bhali lagti hai kanon ko tumhaari aawaz

jab mujhe tum ne pukara ye dua di main ne

rahe makke mein madine mein tumhaari aawaz

aap ke bol sunae wo hamein kya qudrat

aisi paida to kare koi sitari aawaz

sun ke bismil hue hum naghma-sarai un ki

nahin malum chhuri hai ki kaTari aawaz

be-sure samne us ke rahe tambur-o-sitar

la ke taron ke juari ne sanwari aawaz

is tarah roiye aansu faqat aankhon se bahen

munh se nikle na dam-e-girya-o-zari aawaz

chuTkiyon mein na uDa mujh ko mughanni batla

saz ke parde mein kis ki hai ye pyari aawaz

aise nale kiye hum ne ki gala baiTh gaya

aai aafat wo gale par ki sidhaari aawaz

nach gane mein wo aalam hai jo dekhe wo kahe

sar-basar tum ho pari shoala hai sari aawaz

'bahr' roe ho zarur aaj kisi ke liye tum

surKH surKH aankhen bhi hain aur hai bhaari aawaz

(769) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisi Koyal Na Papihe Ki Hai Pyari Aawaz In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Aisi Koyal Na Papihe Ki Hai Pyari Aawaz is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Aisi Koyal Na Papihe Ki Hai Pyari Aawaz for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Aisi Koyal Na Papihe Ki Hai Pyari Aawaz in PDF.