Boliye Karta Hun Minnat Aap Ki

boliye karta hun minnat aap ki

kyun mukaddar hai tabiat aap ki

phunke deti hai kaleja sine mein

shoala ban ban kar mohabbat aap ki

itni be-parwaiyan achchhi nahin

log karte hain shikayat aap ki

chandni munh par na paDne dijiye

maili ho jaegi rangat aap ki

ek dil rakhte the wo bhi kho chuke

ho gae muflis badaulat aap ki

dagh hum ko KHal sahab ko mila

ye nasib apna wo qismat aap ki

mar ke phir zinda hue samjhenge hum

jhel jaenge jo furqat aap ki

munh laga kar phir na hargiz puchhna

wah kya achchhi hai aadat aap ki

huren jannat se to pariyan qaf se

dekhne aati hain surat aap ki

meri surat se agar nafrat nahin

kyun badal jati hai rangat aap ki

ek bose par hazaron hujjaten

maniye kyun kar saKHawat aap ki

sun ke matlab saf aankhen pher lin

dekh li hum ne murawwat aap ki

phul ki ja pankhuDi ai bagh-e-husn

dagh-e-dil par hai inayat aap ki

har kisi ke samne rote ho 'bahr'

bah gai aankhon se ghairat aap ki

(769) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Boliye Karta Hun Minnat Aap Ki In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Boliye Karta Hun Minnat Aap Ki is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Boliye Karta Hun Minnat Aap Ki for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Boliye Karta Hun Minnat Aap Ki in PDF.