Chunne Na Diya Ek Mujhe Lakh JhaDe Phul

chunne na diya ek mujhe lakh jhaDe phul

allah kare KHana-e-gul-chin mein paDe phul

ham-palla hue us se na chhoTe na baDe phul

aankhon mein tula yar taraazu mein paDe phul

ja ja ke bahut zulf ke kuche mein aDe phul

lekin na kabhi kan ke patte se laDe phul

wo murgh-e-chaman hain ki bahaar apni KHizan hai

kaliyae par-o-baal jab apne to jhaDe phul

kuchh bhi hai jinhen azm wahi sadr-nashin hain

hote hain gul-ru-e-sabad sab se baDe phul

sarson bhi nahin phulti aankhon mein hamari

jab tak ki chaDha jaen na do-chaar ghaDe phul

raushan-suKHani KHatm hai us ghuncha-dahan par

hath-phul ke munh se kabhi aise na jhaDe phul

taqdir mein zillat thi gul-ru-e-sanam se

thaalon ne bahut gor jhankae na gaDe phul

ranga ho agar dast-baranjan to hai chandi

wo gul jo na pahne to hain sone ke kaDe phul

fariyaad kar us dard se ai murgh-e-gulistan

kanTe ki sinan bandh ke gulchin se laDe phul

kis din na khinche aah-e-sharar-bar ki talwar

kasaraat na main ne sipar-e-mah mein jaDe phul

kya jurm hai kis bulbul-e-shaida ko jalaya

kyun chaar-pahar dhup mein hote hain khaDe phul

kya sabza-e-ruKHsar se nisbat hai chaman ko

kanTe ye wo hain jin ki hain palle mein dhaDe phul

hum zaKHmiyon ko chandni ki tab nahin hai

sahte hain kaDi dhup nihayat hain kaDe phul

daghon ke hi qabil the hum is bagh mein ai 'bahr'

gulchin-e-muqaddar ne diye hain ye saDe phul

(858) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chunne Na Diya Ek Mujhe Lakh JhaDe Phul In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Chunne Na Diya Ek Mujhe Lakh JhaDe Phul is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Chunne Na Diya Ek Mujhe Lakh JhaDe Phul for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Chunne Na Diya Ek Mujhe Lakh JhaDe Phul in PDF.