Chur Sadmon Se Ho Baid Nahin

chur sadmon se ho baid nahin

aabgina hai dil hadid nahin

mai-kashi kya kare bhala zahid

maghfirat ki use umid nahin

chaar-su hai andhera aankhon mein

chaar din se jo us ki did nahin

mere aage mili wo ghairon se

hai moharram mujhe ye id nahin

qatl aalam hai tere abru par

koi talwar se shahid nahin

apne dil se mujhe iradat hai

main kisi pir ka murid nahin

dil kisi se lage to kya chhuTe

koi is qufl ki kalid nahin

dekh le mar ke saKHti-e-sakraat

sadma-e-hijr se shadid nahin

wasl-e-jaanan hai segha-e-tohmat

ki mujarrad hain hum mazid nahin

ishq kya dard hai KHudawanda

koi daru-dawa mufid nahin

nahno-aqrab dalil hai ai 'bahr'

yar nazdik hai baid nahin

(1094) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chur Sadmon Se Ho Baid Nahin In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Chur Sadmon Se Ho Baid Nahin is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Chur Sadmon Se Ho Baid Nahin for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Chur Sadmon Se Ho Baid Nahin in PDF.