Dam-e-marg Baalin Par Aaya To Hota

dam-e-marg baalin par aaya to hota

mere munh mein pani chuwaya to hota

ye sach hai wafadar koi nahin hai

kisi din mujhe aazmaya to hota

tasalli na deta tashaffi na karta

mere rone par muskuraya to hota

mujhe apni furqat se mara to mara

dam-e-naza mukhDa dikhaya to hota

ghalat hai ki murda nahin zinda hota

tu mere janaze par aaya to hota

wahin chaunk uThta main KHwab-e-lahad se

mera shana tu ne hilaya to hota

hua id ke din main qurban tujh par

bula kar gale se lagaya to hota

mere qatl par tum ne biDa uThaya

mere hath ka pan khaya to hota

wo sunta na sunta hawas to na rahti

mera haal hamdam sunaya to hota

misi par bhi daghon ka samra na paya

charagh ek lahad par jalaya to hota

gila hai mujhe tum se murghan-e-gulshan

kabhi dard mera baTaya to hota

kabhi mere jaanib se parwaz karte

koi haal-pursi ko aaya to hota

nahin ye bhi shikwa na aae na aae

gulon ko mera gham sunaya to hota

dar-o-baam ka 'bahr' KHwahan nahin main

mere aashiyane mein saya to hota

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dam-e-marg Baalin Par Aaya To Hota In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Dam-e-marg Baalin Par Aaya To Hota is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Dam-e-marg Baalin Par Aaya To Hota for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Dam-e-marg Baalin Par Aaya To Hota in PDF.