Dosto Dil Kahin Zinhaar Na Aane Pae

dosto dil kahin zinhaar na aane pae

dil ke hathon koi aazar na aane pae

kijiye husn-parasti magar is qaid ke sath

pyari surat pe zara pyar na aane pae

KHana-e-yar ghar aafat ka hai ai rahgiro

jism par saya-e-diwar na aane pae

ai junun tera zamane mein rahe jab tak daur

hosh mein aashiq-e-sarshaar na aane pae

aap par uqda-e-nazuk-kamari khul jata

ta-kamar gesu-e-KHamdar na aane pae

chashm-e-mahbub se nargis ko barabar na karo

pas bimar ke bimar na aane pae

'bahr' kuchh gham na karo dil ke juda hone ka

ab baghal mein ye bad-atwar na aane pae

(798) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dosto Dil Kahin Zinhaar Na Aane Pae In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Dosto Dil Kahin Zinhaar Na Aane Pae is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Dosto Dil Kahin Zinhaar Na Aane Pae for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Dosto Dil Kahin Zinhaar Na Aane Pae in PDF.