DupaTTa Wo Gulnar Dikhla Gae

dupaTTa wo gulnar dikhla gae

nae sur se phir aag bhaDka gae

tumhaari zidon se hum ukta gae

kisi rose sun lena kuchh kha gae

hamari fughan se na mano bura

kahan tak karen zabt ghabra gae

qafas se chhuTe kin dinon ya-nasib

ki patte bhi phulon ke murjha gae

gae mere dushman ke phulon mein wo

mujhe gham ke kanTon mein uljha gae

hamare gul-andam ka hai ye rang

zara dhup mein nikle sanwla gae

ye sar choT furqat ke sadme rahi

bahut kasa-e-sar mein baal aa gae

lahad mein gire jab hua sar safed

paDi dhup aisi ki teyora gae

na pahunchi chaman tak KHizan aa gai

dilon ke kanwal khil ke kumhla gae

kisi ki wo zulfen jo yaad aa gain

mere sine par sanp lahra gae

falak abr ki tarah phaT jaega

mere nale jis rose Takra gae

har ek baat ki tah samajhne lage

bahut dur ho hum tumhein pa gae

hua dhup mein bhi na kam husn-e-yar

kanhayya bane wo jo sanwla gae

na joban ubharne diya naz ne

dupaTTa jo sarka to sharma gae

miyan-'bahr' kyun chupke chupke ho aaj

jo mehman aae the wo kya gae

(853) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

DupaTTa Wo Gulnar Dikhla Gae In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. DupaTTa Wo Gulnar Dikhla Gae is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem DupaTTa Wo Gulnar Dikhla Gae for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download DupaTTa Wo Gulnar Dikhla Gae in PDF.