Furqat Ki Aafat Bure Din KaTna Sal Hai

furqat ki aafat bure din kaTna sal hai

ye hath hai so kare ye sina ghaDiyal hai

rota hun sham-o-sahar TukDe hai gham se jigar

bedard kuchh rahm kar mera bura haal hai

bechain kahan dil-e-saman yaqub ka hai maqal

jins-e-wafa ka hai kal kanan mein haT-tal hai

resham ke lachchhe hain baal maKHmal ke TukDe hain gal

hai ye nazakat ka haal patli kamar baal hai

aashiq bache ta-ba ki kali bala hai ye shai

kakul ka jo halqa hai muzi ka changal hai

kyun aae hum ai pari halchal mein hai zindagi

aafat hai tere gale aandhi hai bhaunchaal hai

phulon mein rangat na bu sabze ko kuDa kaho

pa-e-KHizan qata ho gulzar paemal hai

dil nazar jis ne kiya Thukra ke us ne kaha

leti hai meri bala dargor kya mal hai

har-dam na dekh us ke baal sar par na le ye wabaal

ji ko bala mein na Dal ai dil ye janjal hai

raftar kahiye use dil har qadam par pise

puchhe koi kabk se sadqe ajab chaal hai

kya kahiye kya gham saha din-raat rota raha

dil KHun ho kar baha rangin rumal hai

ushshaq ka hai ye haal din-raat hai haal-e-qal

aah-o-fughan hai KHayal-e-sina-zani tal hai

saut jafa-kesh hai aashiq jigar-resh hai

abru hai ya nish hai bichchhu hai ya KHal hai

hai kuchh na kuchh to ba-jog nahaq nahin hai ye birog

kaisa laga ji ko rog ai 'bahr' kya haal hai

(1016) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Furqat Ki Aafat Bure Din KaTna Sal Hai In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Furqat Ki Aafat Bure Din KaTna Sal Hai is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Furqat Ki Aafat Bure Din KaTna Sal Hai for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Furqat Ki Aafat Bure Din KaTna Sal Hai in PDF.