Ghazab Hai Dekhne Mein Achchhi Surat Aa Hi Jati Hai

ghazab hai dekhne mein achchhi surat aa hi jati hai

nahin roke se dil rukta tabiat aa hi jati hai

bhara hai dil hamara doston ki bewafai se

kahan tak zabt baaton mein shikayat aa hi jati hai

paDega tere ji mein shak na sun ghammaz ki baaten

hazar aaina ho dil par kudurat aa hi jati hai

ye kya malum tha ye ishq saudai banega

kahin Talti hai aane wali aafat aa hi jati hai

tilai rang par kyun kar na un logon ko gharra ho

ye zar wo chehra hai KHatir mein naKHwat aa hi jati hai

junun-e-ishq mein har chand kuchh ghairat nahin lekin

jo koi tan karta hai hamiyat aa hi jati hai

ajab rudad hai apni bayan karte hain hum jis se

nikal aate hain aansu us ko riqqat aa hi jati hai

nikal jae na kyun kar shahr se majnun bayaban ko

bashar ko apni uryani se ghairat aa hi jati hai

hansi achchhi nahin dekho tamiz is mein nahin rahti

ki munh lag chalne mein bose ki naubat aa hi jati hai

lachakte hi kamar zulf-e-rasa ki jhonk lene se

asar mashuq-pan ka hai nazakat aa hi jati hai

bahut apne ko shaista wo ghairon mein banate hain

tabiat mein jo garmi hai shararat aa hi jati hai

kahan tak nek sohbat ka asar hoga na insan ko

mile tanba jo sone se to rangat aa hi jati hai

KHuda surat na dikhlae mujhe aatish-izaron ki

hazar un se hai dil ThanDa hararat aa hi jati hai

dua-e-maghfirat jab mangte hain us se ro ro kar

barabar josh mein KHaliq ki rahmat aa hi jati hai

koi mahbub us ki jaan ka sail jo hota hai

jhuka leta hai 'bahr' aankhen murawwat aa hi jati hai

(878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghazab Hai Dekhne Mein Achchhi Surat Aa Hi Jati Hai In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Ghazab Hai Dekhne Mein Achchhi Surat Aa Hi Jati Hai is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Ghazab Hai Dekhne Mein Achchhi Surat Aa Hi Jati Hai for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Ghazab Hai Dekhne Mein Achchhi Surat Aa Hi Jati Hai in PDF.