Hamin Nashad Nazar Aate Hain Dil-shad Hain Sab

hamin nashad nazar aate hain dil-shad hain sab

hamin is daur mein barbaad hain aabaad hain sabab

KHaksaron se bhala itni kudurat kya hai

ek daman ke jhaTakne mein to barbaad hain sabab

shikwa ab kya hai tujhe kahte na the hum ai dil

jin ke talwar se abru hain wo jallad hain sab

uqde khul jaenge aghyar ke rafta rafta

hamin zulfon ke giraftar hain aazad hain sab

un hasinon mein bura kis ko kahun kis ko bhala

mujhe diwana banane ko jo tayyar hain sab

aastin dida-e-giryan se juda ho kyunkar

nahin bhule kisi chitwan ke maze yaad hain sab

kis ke kakul nahin shanon pe khule rahte hai

dam-bar-dosh mere waste sayyaad hain sabab

koi sunta nahin fariyaad kisi ke bulbul

kahne ko jitne hain gul-gosh be-fariyaad hain sab

dasht-gardi hi dawa mujh ko agar sauda hai

KHar jangal ke nahin nashtar-e-fassad hain sab

shama roti hai to is bazm mein sar kaTta hai

dadras koi nahin bar-sar-e-bedad hain sab

na to raftar bure aur na guftar bure

jitni us shab mein adaen hain KHuda-dad hain sab

sadqe ruKH par hun ki qurban qad-e-zeba par

ghairat-e-gul mein ye but ghairat-e-shamshad hain sab

nsibatan farq nahin ek hain abna-e-jahan

ek hai un ki aur ek bap ki aulad hain sab

us ki diwar se sar phoD rahe hain aashiq

rashk-e-shirin hai wo but ghairat-e-farhad hain sab

dil-lagi kis se karun 'bahr' ki ji chhuT gaya

mehr-pesha nahin koi sitam-ijad hain sab

(866) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamin Nashad Nazar Aate Hain Dil-shad Hain Sab In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Hamin Nashad Nazar Aate Hain Dil-shad Hain Sab is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Hamin Nashad Nazar Aate Hain Dil-shad Hain Sab for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Hamin Nashad Nazar Aate Hain Dil-shad Hain Sab in PDF.