Har Taraf Majma-e-ashiqan Hai

har taraf majma-e-ashiqan hai

tere dam ka ye sara saman hai

itna maghrur kyun baghban hai

ye chaman chaar din mein KHizan hai

ishq mein be-KHabar ho gaya hun

kis se puchhun mera dil kahan hai

kuchh nahin sujhti sair-e-gulshan

meri aankhon se wo gul nihan hai

dhyan aaThon-pahar hai usi ka

main yahan hun mera dil wahan hai

sine par rakh ke sota hun us ko

us ki taswir aaram-e-jaan hai

aansu bahne lage dekhte hi

zulf-e-mahbub hai ya dhuan hai

jaan parwana hai us pari par

sham-e-sozan har ek ustuKHwan hai

be-murawwat hai wo bewafa hai

sari mehnat meri raegan hai

kya taDapte guzarte hi apne

dard-e-dil mein hai lab par fughan hai

hijr mein kyun nahin maut aati

hae kya dagh-e-dil maraz-e-jaan hai

DhunDhta hun main yusuf ko apne

KHak mere pas-e-karwan hai

jam-e-mul hath mein wo baghal mein

'bahr' apni ye qismat kahan hai

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Taraf Majma-e-ashiqan Hai In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Har Taraf Majma-e-ashiqan Hai is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Har Taraf Majma-e-ashiqan Hai for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Har Taraf Majma-e-ashiqan Hai in PDF.