Hum Aaj-kal Hain Nama-nawisi Ki Taw Par

hum aaj-kal hain nama-nawisi ki taw par

din-bhar kabutaron ko bhagate hain baw par

rindon ko ek rose to dariya-dili dikha

kashti-e-mai ko chhoD de saqi bahao par

likkhun wo sher-e-ariz-e-rangin ki wasf-bin

taKHta chaman ka sadqe hon kaghaz ki naw par

kuchh hajat-e-kabab nahin kaif-e-ishq mein

siKHen dil-o-jigar ki lagin hain alaw par

be-minnat-e-jahan-e-tunuk-zarf agar mile

wallah phir to charb hai KHasha pulaw par

qane ki munh se nemat-e-duniya KHafif hai

bhaari hai paw nan par meri nan paw par

aafat-nishan hain dida-e-fattan ki putliyan

tashhir samri ko karenge ye gaw par

bazicha-gah-e-ishq mein wo hun qimar-baz

donon jahan rakh diye hain ek daw par

kyun kar baraatiyon se na ghunghaT kare dulhan

sari sabha miTi hai tumhaare banaw par

gul-gasht ki hawas chamanistan ki aarzu

ai be-qarariyo mere dil ko lagaw par

karta hun main jo marham-e-kafur ki talash

karti hai chandni meri sine ke ghaw par

kashti-e-mai lagi rahi saqi labon ke ghaT

hum mai-kashon ka qafila hai chal-chalaw par

main jal mein aa gaya wo na aaya fareb mein

main zad pe chaDh gaya wo na Thera lagaw par

parwane ki tarah na bujha de charagh-e-husn

tuti-e-KHat ke aatish-e-ruKH se jalao par

ilm-e-safina us ko tujhe ilm-e-sina 'bahr'

tu pul par aur shaiKH hai kaghaz ki naw par

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Aaj-kal Hain Nama-nawisi Ki Taw Par In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Hum Aaj-kal Hain Nama-nawisi Ki Taw Par is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Hum Aaj-kal Hain Nama-nawisi Ki Taw Par for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Hum Aaj-kal Hain Nama-nawisi Ki Taw Par in PDF.