Ifsha Hue Asrar-e-junun Jama-dari Se

ifsha hue asrar-e-junun jama-dari se

chhape gae aKHbar meri be-KHabari se

dam nak mein aaya hai ab is nauhagari se

dil pak gaya ai aah teri be-asari se

kya din hain jo gul khilte hain shoale hain dahakte

lu chalti hai baghon mein nasim-e-sahari se

sone ke niwalon se na kar parwarish-e-ruh

itni bhi mohabbat nahin karte safari se

kab ahl-e-duwal se hui mabud-parasti

baatil hai agar sajda karen taj-e-zari se

har haal mein rahti hai KHuda par nazar apni

ye martaba hasil hai hamein be-hunari se

maghrur na ho chand se ruKHsar par apne

ye qumquma raushan hai charagh-e-sahari se

tu wo hai shah-e-husn agar baj talab ho

le hur se guldasta tabaq shah-e-pari se

munh chaDhte hain bad-asl tamiz un ko nahin hai

danton se laDi silk-e-guhar bad-guhari se

aankhon se nikalwaiye aankhen hirnon ki

chiton ki kamar toDiye nazuk-kamari se

naubat to kahin qatl-e-gunahgar ki aai

naqqare bajaunga mein tiron ki sari se

pusht-e-lab-e-shaffaf se joban hai mison ka

sabze ne numu ki hai aqiq-e-shajari se

piri mein bhi hum se na hui KHana-nashini

baz aae na bazmon se na guzre guzri se

qad tir sa talwar tawazoa se hua hai

wo hath uThate nahin be-dad-gari se

jab chaho chale aao ye wada nahin achchha

dil aankh churaata hai bahut muntazari se

ab zof-e-junun kucha-e-jaanan mein baha de

kab tak ye waram panw par aashufta-sari se

wo choT kaleje mein lagi hai ki na puchho

taDpunga tah-e-KHak bhi dard-e-jigari se

rone ka na le nam gham-e-yar mein ai 'bahr'

ulTe na zamane ka waraq lab ki tari se

(1539) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ifsha Hue Asrar-e-junun Jama-dari Se In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Ifsha Hue Asrar-e-junun Jama-dari Se is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Ifsha Hue Asrar-e-junun Jama-dari Se for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Ifsha Hue Asrar-e-junun Jama-dari Se in PDF.