Jab Dast-basta Ki Nahin Uqda-kusha Namaz

jab dast-basta ki nahin uqda-kusha namaz

kaTegi meri panw ki zanjir kya namaz

bandon ka to ye haal hai leti nahin salam

kyun kar kahun qubul karega KHuda namaz

bu-e-riya har ek gul-e-boriya mein hai

duniya ki ghar ka farsh hai zahid ki ja-namaz

roza hamari faqa-kashi ka namuna hai

apni farotani ka hi ek partawa namaz

fariyaad kar raha hun do-waqti azan nahin

taklif mujh ko deti hain subh-o-masa namaz

mina-e-mai imam ho mamum rind hon

hasrat hai panch waqt ki ho yun ada namaz

sare nuqush sangi-e-gul-ha-e-bagh-e-KHuld

jis boriye pe main ne paDhi be-riya namaz

masti mein laghzish apni ruku-o-sujud hai

nikle jo mai-kade se to hogi qaza namaz

jate hain girte paDte hue rah-e-shauq mein

kya jaanen hum tariq hai kya aur kya namaz

la-taqrabussalat isi amr par hai nahin

pi kar mai-e-ghurur na paDh waiza namaz

allah de jo niyyat-e-KHalis huzur-e-qalb

phir arsh sajda-gah hai kursi hai ja-namaz

har dam jihad-e-nafs mein takbir hai buland

sar par hai tegh-e-jabr magar hai bapa namaz

daman-e-tar ki lo KHabar ai zahidan-e-KHushk

is jama-e-najis se nahin hai rawa namaz

hai iztirab faqe mein uTh baiTh bahr-e-qut

zahid kuja o roza kuja o kuja namaz

tir-o-kaman hain us ke qiyam-o-rukua 'bahr'

ek din uDaegi hadaf-e-muddaa namaz

(944) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Dast-basta Ki Nahin Uqda-kusha Namaz In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Jab Dast-basta Ki Nahin Uqda-kusha Namaz is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Jab Dast-basta Ki Nahin Uqda-kusha Namaz for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Jab Dast-basta Ki Nahin Uqda-kusha Namaz in PDF.