Jab Ki Sar Par Wabaal Aata Hai

jab ki sar par wabaal aata hai

pech mein baal baal aata hai

kab payam-e-visal aata hai

KHwab hai jo KHayal aata hai

tegh-e-irfan se ruh bismil hai

haal par apne haal aata hai

shal hai har chand panja-e-mizgan

par kaleja nikal aata hai

kya ajab ishq ho jo piri mein

dudh mein bhi ubaal aata hai

KHub chalti hai naw kaghaz ki

ghar mein qazi ke mal aata hai

Dher hai dil mein ab kudurat ka

miTTi lene kalal aata hai

chal nikalti hai kashti-e-amal

araq-e-infial aata hai

hijr ke din yun hi guzarte hain

mah jate hain sal aata hai

tere aankhon ke samne sayyaad

zabh hone ghazal aata hai

jis ne us ki gali mein phal paya

kha ke patthar nihaal aata hai

sar kaTa kar shahid hote hain

umr kho kar kamal aata hai

na milega siwa muqaddar se

jehl hai ja malal aata hai

bahr-e-zar gul hai palla-e-mizan

til ke kanTe pe mal aata hai

'bahr' ki sun ke aarifana ghazal

shah-e-dariya ko haal aata hai

(873) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Ki Sar Par Wabaal Aata Hai In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Jab Ki Sar Par Wabaal Aata Hai is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Jab Ki Sar Par Wabaal Aata Hai for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Jab Ki Sar Par Wabaal Aata Hai in PDF.